Kuch Khayaal kabhi yuhin aajate hain
Badal ki terah dilo-dimaag par cha jaatain h
Kasmokash ka daur shooru hota h
sawalon ki bochar hoti h....
jawabo ki talash hoti h
dil ko mannane ki laachar si koshish hoti h
Phir baarish hoti h aur aankhein nam hoti h
Aur raashte ka paani aapne saath bha le jata h
Poorane zakhmo ke nishaan
lekin in sab ke baad aisa khayal hota h.....
jaise dil ko phir se naye zakhmo ki talash h....
Kuch Khayal kabhi yuhin......
Thursday, October 27, 2011
us jawab ki talash main...
us jawab ki talash me
jis ki manjil ek sawal h
us rashte ki talash me
jiske har kadam par
ek nai manzil h
main nikal para hoon
khud se bahar
khud ki talash main
tujhe dhoodne ki khwaish h
par jab jab aisa laga
ki tu nazdik h mere
maine paaya ki aur koi nahi
main khud hi khud ko dekh raha hoon
us aayne me jiske upar waqt ki dhool jam jaati h
baar baar saafai karni padti h mujhe
kuch kar aisa ki aayna mera paak rahe
tere didaar karne ke liye
mujhe rashton aur manzilo ki talash na rahe....
jis ki manjil ek sawal h
us rashte ki talash me
jiske har kadam par
ek nai manzil h
main nikal para hoon
khud se bahar
khud ki talash main
tujhe dhoodne ki khwaish h
par jab jab aisa laga
ki tu nazdik h mere
maine paaya ki aur koi nahi
main khud hi khud ko dekh raha hoon
us aayne me jiske upar waqt ki dhool jam jaati h
baar baar saafai karni padti h mujhe
kuch kar aisa ki aayna mera paak rahe
tere didaar karne ke liye
mujhe rashton aur manzilo ki talash na rahe....
Subscribe to:
Posts (Atom)