Kuch Khayaal kabhi yuhin aajate hain
Badal ki terah dilo-dimaag par cha jaatain h
Kasmokash ka daur shooru hota h
sawalon ki bochar hoti h....
jawabo ki talash hoti h
dil ko mannane ki laachar si koshish hoti h
Phir baarish hoti h aur aankhein nam hoti h
Aur raashte ka paani aapne saath bha le jata h
Poorane zakhmo ke nishaan
lekin in sab ke baad aisa khayal hota h.....
jaise dil ko phir se naye zakhmo ki talash h....
Kuch Khayal kabhi yuhin......
No comments:
Post a Comment